Koi Tum Sa Bhi Kash Tum Ko Mile
Mudaa Hum Ko Inteqam Se Hai
Apni Gali Mai Mujh Ko Na Kar Dafan Bad-e-Qatl
Mere Pate Se Khalq Ko Kyun Tera Ghar Mile
Zakham Jhele Daag Bhi Khaaye Bohat
Dil Laga Kar Hum To Pachtaye Bohat
--------------
Read More: Sad Bewafa Poetry Urdu
--------------
ہاتھ میرے بھول بیٹھے دستکیں دینے کا فن
بند مجھ پر جب سے اس کے گھر کا دروازہ ہوا
Hath Mere Bhool Baithe Dastaken Dene Ka Fan
Band Mujh Par Jab Se Us Ke Ghar Ka Darwaza Hua
--------------
وہ مجھ کو چھوڑ کے جس آدمی کے پاس گیا
برابری کا بھی ہوتا تو صبر آ جاتا
Wo Mujh Ko Chor Ke Jis Admi Ke Pass Gaya
Barabari Ka Bhi Hota To Sabr Aa Jaata
--------------
اس کے یوں ترک محبت کا سبب ہوگا کوئی
جی نہیں یہ مانتا وہ بے وفا پہلے سے تھا
Us K Yuun Tark-e-Mohabbat Ka Sabab Hoga Koi
Jee Nahi Ye Manta Wo Bewafa Pehle Se Tha
--------------
چنتی ہیں میرے اشک رتوں کی بھکارنیں
محسنؔ لٹا رہا ہوں سر عام چاندنی
Chunti Hain Mere Ashk Raaton Ki Bhikaranen
‘Mohsin’ Luta Raha Hoon Sar-e-Aam Chandni
--------------
جو دے سکا نہ پہاڑوں کو برف کی چادر
وہ میری بانجھ زمیں کو کپاس کیا دے گا
Jo De Saka Na Paharon Ko Barf Ki Chadar
Wo meri Banjh Zameen Ko Kapas kya Dega
--------------
وفا کی کون سی منزل پہ اس نے چھوڑا تھا
کہ وہ تو یاد ہمیں بھول کر بھی آتا ہے
Wafa Ki Kon Si Manzil Pe Us Ne Chora Tha
K Wo To Yaad Humain Bhool Kar Bhi Aata Hai
--------------
کیا خوب تم نے غیر کو بوسہ نہیں دیا
بس چپ رہو ہمارے بھی منہ میں زبان ہے
Kya Khub Tum Ne Ghair Ko Bosa Nahi Diya
Bas Chup Raho Hamare Bhi Munh Mai Zuban Hai
--------------
ایک ہی اپنا ملنے والا تھا
ایسا بچھڑا کہ پھر ملا ہی نہیں
Aik Hee Milne Wala Tha,
Aesa Bichra Ke Phir Mila Hee Nahi
--------------
شوقِ وفا نہ سہی
خوفِ خدا تو رکھ
Shoq e Wafa Na Sahee,
Khauf e Khuda Toh Rakh
--------------
وہ جن میں چمکتے تھے وفا کے موتی
یقین جانو وہ آنکھیں بےوفا نکلی
Woh Jin Mein Chamakte Thay Wafa Ke Moti,
Yaqeen Jaano Woh Aankhen Bewafa Nikli
--------------
Bewafa Poetry in Urdu 4 Lines
تیرے بدلے ہوئے لہجے سے کہیں بہتر ہے
ہم جدائی کی اذیت ہی گوارا کر لیں
کچھ خدا ایسا کرے تجھ کو محبت ہو جائے
تو پکارے ہمیں اور ہم تجھ سے کنارا کر لیں
Tere badle howe lehje se kahin behtr hay
hum judai ke azeyat he gawarah kar lay...
kuch khuda essa kare tujh ko muhabbat ho jaye
tu pukaray hame aur ham tujh se kinarah kar le...
--------------
اُس میں حِس نہیں تھی
میرے جذبات کو سمجھنے کی
ورنہ جس طرح میں نے اُسے چاہا تھا
اُسے تو مُجھ سے عشق ہو جانا چاہیے تھا
Us me hes nahi thei
mere jiazbat ko samajhne ke
warna jis tarah me ne us ko chaha tha
use to mujh se Ishq o Jana chaheye tha
--------------
Read Also: What is Sad and How Avoid
0 Comments