Read beautiful collection of Maa Poetry in Urdu, Sad Maa Shayari, Mother Love Poetry which famous around the world. Let's read
Uske honton
pe kabhi bad-dua nahi hoti
Bas ek maa
hai jo kabhi khafa nahi hoti
Maa pehle aansu aate the toh tum yaad aati thi
Aaj tum yaad aati ho aur aansu nikal aate hai
Yun to maine bulandiyon ke har nishaan ko chua
Jab maa ne god mein uthaya toh aasman ko chua
Kisi ko ghar mila kisi ke hisse mein dukaan aayi
Main ghar mein sab se chota tha mere hisse mein maa aayi
زخم
جب بچے کو لگتا ہے تو ماں روتی ہے
ایسی
نسبت کسی اور رشتے میں کہاں ہوتی ہے
Zakhm jab
bacche ko lagta hai to maa roti hai
Aisi nisbat
kisi aur rishte mein kahan hoti hai
----------------
کبھی
مسکرا دے توہ لگتا ہے زندگی مل گئی مجھکو
ماں
دکھی ہو تو دل میرا بھی دکھی ہو جاتا ہے
Kabhi
muskura de toh lagta hai zindagi mil gayi mujhko
Maa dukhi ho
toh dil mera bhi dukhi ho jaata hai
----------------
یہ
کیسا قرض ہے جسے میں ادا کر ہی نہیں سکتا
میں
جب تک گھر نہ آ جاؤں ماں سجدے میں رہتی ہے
Yeh kisa
qarz hai jise main adaa kar hi nahi sakta
Main jab tak
ghar na aa jaaun maa sajde mein rehti hai
----------------
بھول
جاتا ہوں پریشانیاں زندگی کی ساری
ماں
اپنی گود میں جب میرا سر رکھ لیتی ہے
Bhool jaata
hoon peraishanian zindagi ki saari
Maa apni god
mein jab mera sar rakh leti hai
----------------
جسکے
ہونے سے میں خود کو مکمل مانتا ہوں
میرے
خدا کے بعد میں بس اپنی ماں کو جانتا ہوں
Jiske hone
se main khud ko mukammal maanta hoon
Mere khuda
ke baad main bas apni maa ko janta hoon
----------------
دن
بھر کی مشقت سے بدن چور ہے لیکن
ماں
نے مجھے دیکھا تو تھکان بھول گئی اپنی
Din bhar ki
mashaqqat se badan choor hai lekin
Maa ne mujhe dekha to thakaan bhool gayi apni
----------------
زمانے
نے اتنے ستم دیے کی روح پر بھی زخم لگ گیا
ماں
نے سر پر ہاتھ رکھ دیا تو مرہم لگ گیا
Zamaane ne itne
sitam diye ki rooh par bhi zakhm lag gaya
Maa ne sar
par haath rakh diya toh marham lag gaya
----------------
جب
دوا کام نہیں آتی ہے
تب
ماں کی دعا کام آتی ہے
Jab dawa
kaam nahi aati hai
Tab maa ki
dua kaam aati hai
----------------
مشکل
گھڑی میں نہ پیسہ کام آیا نہ رشتےدار کام آئے
آنکھ
بند کی تو صرف ماں یاد آئی
Mushkil
ghadi mein na paisa kaam aaya na rishtedaar kaam aaye
Aankh band
ki toh sirf maa yaad aayi
----------------
ماں
خود بھوکی ہوتی ہے مجھے کھلاتی ہے
خود
دکھی ہوتی ہے مجھے چین کی نیند سلاتی ہے
Maa khud
bhooki hoti hai mujhe khilaati hai
Khud dukhi
hoti hai mujhe chain ki neend sulaati hai
----------------
تیرے
قدموں میں یہ سارا جہاں ہوگا ایک دن
ماں
کے ہونٹوں پہ تبسم کو سجانے والے
Tere kadmon
mein yeh saara jahan hoga ek din
Maa ke
honton pe tabassum ko sajaane waale
----------------
سر
پر جو ہاتھ پھیرے تو ہمت مل جائے
ماں
ایک بار مسکرا دے تو جنت مل جائے
Sar par jo
haath phere to himmat mil jaaye
Maa ek baar
muskura de to jannat mil jaaye
----------------
کسی
بھی مشکل کا اب کسی کو حل نہیں ملتا
شاید
اب گھر سے کوئی ماں کے پیر چھوکر نہیں نکلتا
Kisi bhi
mushkil ka ab kisi ko hal nahi milta
Shaayad ab
ghar se koi maa ke pair chukar nahi nikalta
----------------
ابھی
زندہ ہے ماں میری مجھے کچھ بھی نہیں ہوگا
میں
جب گھر سے نکلتا ہوں دعائیں ساتھ چلتی ہے
Abhi zinda
hai maa meri mujhe kuch bhi nahi hoga
Main jab
ghar se nikalta hoon duaayein saath chalti hai
----------------
سخت
راہوں میں بھی آسان سفر لگتا ہے
یہ
میری ماں کی دعاؤں کا اثر لگتا ہے
Sakht raahon
mein bhi aasaan safar lagta hai
Yeh meri maa
ki duaaon ka asar lagta hai
----------------
وہ
تو لکھا کے لائی ہے قسمت میں جاگنا
ماں
کیسے سو سکےگی کہ بیٹا سفر میں ہے
Woh toh
likha ke laayi hai qismat mein jaagna
Maa kaise so sakegi ki beta safar mein hai
----------------
Read More: Islamic Poetry Urdu
0 Comments