Deep Intezar Poetry 2 Lines in Urdu with Images

Read Deep Intezar Poetry 2 Lines, Intezar Shayari Sms with images. A beautiful collection of interesting wait related poetry. Share with someone loved

intezar-poetry-2-lines
Intezar Poetry 2 Lines

Wo aa rahay han, wo aaye haan, wo aa rahay hoon gaay
Shab e firaq yeh keh kar guzar di ham nay

اب راہ تکنے کی باری تُمہاری ہے

ہم اب کبھی تیری دہلیز پر نہیں آئیں گے

Ab rah taknay ki bari tumhari hai

Ham ab kabhi teri dehleez par nahi aain gain

-----------------

مجھ کو یہ آرزو وہ اُٹھائیں نقاب خود

ان کو یہ انتظار تقاضا کرے کوئی

Mugh Ko Ye Arzo Wo Uthayen Naqab Khud

Unko Ye Intezar Taqaza Kary Koi

-----------------


sad-intezar-poetry
Sad Intezar Poetry

Yeh soch kar kay tera intezar lazam hai
Tamam umer kisi ki taraf nahi dekha

یہ جو پتھر ہے آدمی تھا کبھی

اِس کو کہتے ہیں اِنتظار میاں

Yeh jo pathar hai aadmi tha kabhi

Iss ko kehtay hain intizar mian

-----------------

مانا کہ تیری دید کے قابل نہیں ہوں میں

تو میرا شوق دیکھ ، میرا اِنتظار دیکھ

Mana kay teri deed kay qabil nahi hoon main

Tu mera shauq dekh mera intezar dekh

-----------------

wait-shayari-sms
Intezar Shayari Sms

Kon kehta hai keh waqt buhat tez guzarta hai
Tum kabhi kisi ka intizar tu kar k dekho

-----------------

Read More Best: Intezar Poetry

-----------------

بھرے جہان میں کوئی میرا یار تھا ہی نہیں

کِسی نظر کو میرا اِنتظار تھا ہی نہیں

Bhary jahan main koi mera yaar tha hi nahi

Kisi nazar ko mera intizar tha hi nahi

-----------------

غضب کیا تیرے وعدے پہ اعتبار کیا

تمام رات قیامت کا انتظار کیا

Ghazab Kiya Tery Wady Pay Etabar Kiya

Tamam Rat Qayamat Ka Intezar Kiya

-----------------

مُحبّت کیا ہے اُس شخص سے پوچھو

جس نے دِل ٹوٹنے کے بعد بھی اِنتظار کِیا

Muhabbat kiya hai uss shakhs say pucho

Jis nay dil tutnay kay baad bhi intezar kiya

-----------------

جانتا ہے کہ وہ نہ آئیں گے

پھر بھی مصروف ِ انتظار ہے دِل

Janta hai kay wo na aain gaiy

Phir bhi masroof intizar hai dil

-----------------

آپ کا اعتبار کون کرے

روز کا انتظار کون کرے

Aap ka aitbar kon kary

Roz ka intizar kon kary

-----------------

Read Also: Punjabi Love Poetry

Post a Comment

0 Comments